wo muskurate pal,
dil se juda hai apne, wo bitaa hua kal,
kabhie guzarti thee zindagi waqt bitaane me,
aaj waqt guzar jaata hai uun yaado ko jutaane me,
wo mess ki bani chapatiya,
sambhar bhee lajawaab hote the,
magar hum bhee kuchh kum nahi the,
hamare bhee nakhre hazaar hote the, guruji ka wo command, zazbati hoke manjil ki or bhagna, bhagte bhagte rukjana, fir dosto ka wo joss ke sath kehna, manjil karib hai mere bhai, chalna.
wo der raat tak gappe ladana,
sareaam lecturers ki khichai karte the,
phir bhee jab dil nahi bharta tha,
to aapas me he ladaai karte the,
Bahut door tak pahuch hua karti thee hamari,
internals ko to chutkiyo meniptaate the,
externals ka bhee khauf nahi hota tha,
oose to cigarette aur bidi ke dhue me udaate the,
wo takrana paimano ka SR ket errace pe,
shayad kabhie bhool nahi paaenge,
door nikal chale hai bahut,
isliye laut ke waapas nahi aaenge.Manik
3 comments:
Nice blog manik kp e tp
Go ahead
Kv pi6e murke v dekhna mere dost
Post a Comment